"Dost" ka matlab ?
D= door rehker bhi jo paas ho.
O= ourose zeyada khas ho.
S= sabse pyara jiska ehsas ho.
T= takdir ko jiski talash ho..
Shayari Dosti | Sachii Dosti ke Liye
Dedicated to all my friends-
Zindagi me phir milenge hum kahin,dekh k nazre na churalena "tujhe dekha
hai yaar kahin" bas itna keh k gale se lagalena..
Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak
Hasi ke raste pe chala karo
Khushion ki mehak liya karo
Pyar se dilon ko chhua karo
Jahan aapko gum nazar aaye
Is nacheez ko yaad kiya karo
Sachii Dosti kaya hai?
D- DASTAK BHI NA DE.
O- OR APNA BANA LE.
S- SARI JINDEGI JO SATH DE.
T- TAKDIR JO SAWAAR DE.
I- ISI RISTYE KO DOSTI KEHTE HAI.
Hasrat hai apko sacha dost banane ki, or khwahish nahi kuch pane ki, shikwa humse nahi khuda se karo, kya zarurat thi apko itna acha banane ki
Kya mangu khuda se tume pane k baad.
Kiska karu intezar tere ane k baad.
Kyu dost par jaan luta dete hai log.
Malum hua tume dost banane ke baad
Jaise Taron Ke Sath Aakash Hai
Waise Sache Dosti Ke Sath Bishvas Hai
Dil Ki Nazron Se Dekhoge Agar
Hum Har Waqt Aapke Pass Hai
Aapki dosti hamain is Kadar hai pyari,
Jis tarah bin paani ke machli hai bechari,
Ab Na aur koi khuwaish hai,
Bus tum dost bane rehna yahi guzarish hai...!
Yakin pe yakin dilate hai Dost,
Rah chalte ko bewakuf banate hai Dost,
Sharbat batakar daru pilate hai Dost,
Par jo kuch bhi ho,
Sale bahut yaad aate hai Dost
In case u have any doubt in our friendship,
toss a coin.
If it shows head-"i m your true friend".
If tail-slap urself n toss it again until u get head
Kyoki me tumhara Sacha Dost hu Yaar.....
Her kadam pe imtihan leti hai zindagi.
Her waqt naye sadme deti hay zndagi.
Hum zindgi se shikwa kaise karen
Aap jaise dost bi to dati hai zindgi
~: Read more sher-o-shayari :~ | Shayri on dosti friendship | Shayri SMS |
Koi chupata hai
Koi btata hai
Koi rulata hai
To koi hasata hai
Dosti to har kisi ko hai kisi na kisi se.
Fark itna hai ki koi azmata hai or koi nibhata hai
Kabhi kabhi in ankho main nami se hoti hai
Kabhi kabhi in honto pe hansi si hoti hai
Ae dost woh tumhi ho jisse meri zindgi, zindgi si hoti hai
Mann me apke har baat rahegi,
Basti chhoti hai magar aabaad rahegi,
Chahe hum bhula de zamane ko,
Magar aapki ye pyari si dosti hamesha yaad rahegi…
Pyar Se Hame Koi Gila Nhi, Magar pyar hume Kabhi Mila Nahi. Humne to ki hai Zindgi me sirf dosti, Kyoki dosto se jyada pyar karne wala hame koi mila nahi...
Aankho ke liye roshni jaroori hai,
Pyar ke liye dosti jaroori hai,
Hum to aap ko kabhi yaad nahi karte,
Kyun ki……
Yaad karne ke liye bhoolna jaroori hai