Kinaron ki kabhi had nahi hoti,
taron ki kabhi ginti nahi hoti,
Bachke rehana humse
Q ki humare dil me kaid doston
ki kabhi zamanat nahi hoti.

Raat Ki Suruvat Neend Se Hoti Hai
Neend Ki Suruvat Sapno Se Hoti Hai
Sapano Ki Suruvat Apno Se Hoti Hai
Apno Ki Suruvat Doston se Hoti Hai aur
Dosto ki Suruvat ap se Hoti Hai

Dost Chahe Jitna B Bura Ban Jaye
Kabi Usse Dosti Mat Torna
Kyun Ke Pani Chahe Jitna Bhi Ganda Ho Jaye
Aag Bhujane Ke Liye Jaroori Hota Hai

Ek phool aksar baagh saja deta hai
Ek hi sitara sansaar chamka deta hai
Jahan duniya bhar ke rishtey bhi kaam nahi aate
Wahin ek pyara sa dost zindagi bana deta hai

Tu salaamat rahe ye dua hai hamari
Dosti ke liye sochna adat hai hmari
Kabi musibat na aye dost tujh par
Yahi harpal dil se duwa hai hamari

Unn phoolon se dosti kya karoge
jo ekdin murjha jayenge
karna hai dosti toh hum jaise kaanton se karo
jo ek baar chubhe toh baar-baar yaad ayenge

Yaadein Do Dilon Ke Faasle Ko Kaam Karti Hai
Zindagi Aap Jaise Doston Par Naz Karti Hain
Mat Ho Udas Ke Aap Dur Hain Humse Kyun Ke
Duriyan Hi Rishton Ko Aur Khas Karti Hain

Khuda Tera Jitna Shukriya Karu Kam Hai
Dosto Ki Mehfil Me Ek Dost Aham Hai
Khuda Use Kabhi Ruswa Na Krna
Uska Hr Ansu Umra Bhar Ka Gum Hai

Har tarah ke sikhwo ko seh lete hai
Zindagi ko yu hi jee lete he
mila lete hain jinse haath dosti ka
un haatho se fir zehar bhi pee lete he

Apki dosti ko ehsan manate hai,
Apako yad karna iman mante hai,
wo aur honge jo dosti me jaan dete hai,
hum to dosti ko hi apni jaan mante hai.

Jindgi Ke Kuch Lamhe Yaadgar Hote Hain
Yaadon Mein Kuch Dost Khas Hote Hain
Yoon To Vo Dur Hote Hain Nazron Se
Par Unke Ehsaas Hamesha Dil Ke Paas Hote Hai

Subah ka har pal Zindagi de aapko
Din ka har Lamha Khushi de aapko
Jahan gum ki hawa chhu ke bhi na guzre
Khuda woh Jannat si Zamin de Aapko

O meri makki di roti!
Sarson de saag!
Suji de halve!
Lassi de glass!
Te amb de achar!
Na sms na misscall!
Kithe ho SARKAR
I MISS U BAR-BAR

Tufaan se ujada hua basti fir bas jaati hai
Har patjhad ke baad bahaar aa jati hai
Magar e dost tu kyaa jaane, dosti ki kadar
Tere zindagi subah hone se pehle hi shyam ajaati hai

Yu to hame lakhon mile the apne, jo milkar chale gaye;
Kuch tere jaise bhi mile, jo vada kark mukar gaye;
Magar Hamari majburi hai, nibhyenge ye dosti umar bhar;
kyoki Galati se tujh se dosti ke, chand vaade jo kar gaye!